It's exam time of MPE final semester. It's been a memorable period of life for all of us, but for Anand it's been double delight, extra special, golden experience of life. So, it's quite understandable how he feels about farewell from MPE. Read on...
-------------------------------------------
Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,
Bhale chheen lo mujhse US ka Visa,
Magar mujhko lauta do college ka canteen,
Woh thanda saaa paani ,Woh TeeKha Samosaa,
Woh College ki sabse - purani nishaanee,
Woh chai vaalaa jisko - sab kehte the... jaani,
Woh jaani ke hathon - ki 'cutting' chai meethi,
Woh chupke-se journal - mein jo bheji thi chitthi,
Woh padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,
Woh chehre ki laali, woh hothon ki gaali ...
Kadi dhoop mein - apney room se nikalnaa,
Woh project ki Khatir - tha dar dar bhataknaa ,
Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,
Woh ma'm ko chidana, aeroplane udaanaa,
Woh submission ki raton - ko jagna jagaanaa,
Woh viva ! ke kisse, woh pracs ki kahani....
Woh dena Bimaari - ka har time bahana,
Woh doosron ke assignment - ko apnaa banana,
Woh seminar ke din - pairon ka cchat-patanaa,
Woh workshop mein din bhar - pasiinaa bahanaa,
Woh slogans banana - woh poster chipkana,
Phir Exam ke dinon - yaad aati thi naani,
....
College ki thi - woh lambi si raatein,
Woh doston ke tapre mein - fokat ki Baatein;
Woh gathering ke din - pyari mulakatein;
Woh kudiyon ka yuhin - hamesha akadnaa;
Woh ladkon ke aagey jo unka matakna;
Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi -------
Woh college, ki yaadein jo ab hai kahani...
-----------------------------------------------------------